Shayari
Hain jo be wafa hum unki galiyan chor aye hain
Begunahon ke gunahon ko chor aaye hain
Jo bayan hi kar na sake ab hamare jazbaat
Aaj hum wo kalam kagaz chor aaye hain
Kadamo me padi thi jo muflisi ki bediyan
Aaj bas unko jhatak kar tor aaye hain
Zakham seene par, aakho me hai aansoo magar
Aaj patthar me bhi chand aansoo chor aaye hain
Aasman se jhakte hain, puchte hain sathi ka haal
Chand ka daman sitare aasman se chor aaye hain
Darmiyan leheron ke khatre se khali na tha
Safina sahilon ke bharose chor aaye hain
By-Shekhar Kesarwani